Muhammad Ali Biography in Urdu

Mohammed Ali was born on 19 April 1931 in Moradabad. He was a legendary film actor in Pakistan. Mohammed Ali passed Matric from Millat High School in Multan. He passed B.A. from City College in Hyderabad. Mohammed Ali worked in Lollywood film Industry. He married with Zeba, a prominent film Heroin. His first film was “ Chiragh Jalta Raha ”, In this film he worked as a Villain. Mohammed Ali worked in 300 hundred films. He was a great personality in Showbiz World. Mohammed Ali died on March 19, 2006. In this page, you will read the Biography of Mohammed Ali in Urdu.

Pakistani Actor Mohammad Ali

Biography In Urdu

Mohammed Ali acting ke us maktabae khayal se talluq rakhte the jis mein jismani harkat-o-saknat ke sath sath awaaz ki adaegi, tallafuz ki sehat aur zuban ki nazakaton ko bhi barabar ki aehmiyat di jati thi. Yeh School of acting Pak-o-Hind ke cinema mein Sohrab Moodi se shuru ho kar Prithvi Raj Kapoor tak ata hai. Pakistan mein is ke wahid numaiyndey Mohammed Ali he the. Agar is mulk mein filmi sanat zinda rehti to shayad Talat Hussain is riwayat ko aage barha sakte, lekin filhal yeh baab hamesha ke liye band hota mehsoos nazar aa raha hai.

19 April 1931 ke roze Mohammed Ali ne Moradabad mein pehli baar aankh kholi. Un ke walid Murshid Ali zikar-o-fikar mein magan rehne wale darwesh sift insaan the. Ghar ka amoomi mahaul mazhabi tha.s aeza-o-aqarba mein kae afraad zakir the, chunache awaaz ki bunyadi tarbiyat to androon-e-khana he ho gai yhi. Aur Radio Pakistan Hyderabad mein pohnche to goya is sone par suhaga ho gaya. Tahum is sone ko kundan banana ka sehra Baba-e-radio Syed Zulfiqar Ali Bukhari ke sir hai, jinho ne Mohammed Ali ko apne saya-e-atifat mein le kar awaaz ki aesi tarash kharash ki ke mulk bhar mein koi bhi sadakar Mohammed Ali ka muqabla na kar sakta tha.

Yeh Sun 50 ki dehai ke aakhri saal the. Mohammed Ali ki awaz Zulfiqar Bukhari se adaegi ke sare gur seekhne ke bad chekh chekh kar keh rahi thi.“ Kuch Aur Chahiye Wusat Mere Beyan Ke Liye ” Aakhirkar is wusat-e-beyan ka intezam bhi khud bukhari sahib he ne kar diya aur 1962 mein Fazal Ahmed Kareem Fazli ki film “ Chiragh Jalta Raha ” mein Mohammed Ali ko kaam dilwaya. Isi film mein actress Zeba bhi pehli bar namoodar huey jinhe barson bad Mohammed Ali ki jeevan sathi banna tha aur ittefaq se Radio Pakistan ken au jawan sadakar Talat Hussain ko bhi isi film mein adakari ka pehla chance mila. Chiragh jalta raha aik aesi film thi jo Mohammed ke liye Isme Basmaa sabit hui yani is film ke bad Mohammed Ali ke fun ka chiragh barson tak roshan raha.

Chiragh jalata raha se le kar “ Mohabbat Ho To Aesi ” ( 1989 ) tak apni 27 sala filmi zindagi mein Mohammed Ali ke fun ka chiragh barson tak roshan raha.
Chiragh jalta raga se le kar “ Mohabbat ho to Aesi ” 1989 tak apni 27 sala filmi zindagi mein Mohammed Ali ne koi 300 filmon mein kaam kiya hoga. Career ke aaghaz mein unho ne “ Mr. X ” jaisi nakaam action filmon se le kar “ Neela Parbat ” jaise flop tajurbat tak har tarha ki film qabool kar li lekin 1964 mein hidayatkar Jameel Akhtar ki film “ Khamosh Raho ” ke bad wo khase mohtaat ho gae aur sirf aise kirdar qabool karne shuru kiya jo un ki shakhsiyat aur fun ke shayan-e-shan the.

1965 se 1980 tak ke 15 baras Mohammed Ali ki acting ke urooj ka zamana hain. Yad rah eke yeh daur ache actors se khali nahi tha aur mutawazi satah par Waheed Murad aur Nadeem jaise Hero bhi apne kamalat dikha rahe the. Lekin yeh dono geet gane aur Heroin ke peche peche bhagne wale manchaley hero the. Jab ke Mohammed Ali ne roz-e-awwal se apne liye jazbati acting ki mushkil dagar chun li thi. Chunache mehaz Ahmed Rashdi ke gaey hue geet par hont hila dene se Mohammed Ali ka maqsad pora na hota tha. Bal ke use dil ki gehrai se nikle hue jazbat ki adaegi ke liye thos mukalmat ki zaroorat thi aur yehi wo maqam tha, jahan phephron mein bhare saans, Diaphragm ke sukrhao, naak aur galey ke khala mein sarsarati saans aur zaban ki ratobat ka imtezaj mil kar Zulfiqar Bukhari ke tarbiyat yafta awaz ke is dhuni ko microphone se khilwarh ke liye khula chor dete aur phir aqleem sada mein bas isi sheyr ki dharh sunai deti thi.

Fun ki duniya se bahar Mohameed Ali aik insaan dost ghareeb parwar aur diyalo shakhs the. Un ke kuch kherati kaam to duniya bhar ne dekhen hain. Lekin apni kuch nekiyon par unho ne sari umar pardah dale rakha. Aik aesi Maa thi jis ki beti ka chehra bhari jawani mein daagh daar ho gaya tha aur Maa ke paas plastic surgery ke zaraey na the. Use kahin se pata chala ke America mein muqeem aik maroof plastic surgeon Mohammed Ali ka dost hai. Maa ne apni beti ke liye Mohammed Ali se rabta kiya. Isse pehle ke Maa appna dukhra tafseel se sunati, Marhoom Mohammed Ali sare muamley ki teyh tak pohanch gaey. Forun Telephone uthaya aur dost ko phone kiya aur ladki ke muft ilaaj ka bandobast kar diya.
Lekin is tarha ke kitne waqeaat honge jo manzar-e-aam par to nahi aae magar marhoom ko Jawar-e-rehmat mein jagah dene ki sifarish zaroor kar rahe honge.